Thursday, April 16, 2020

Corona ka aagman na hota to kya hota...

Corona ka aagman na hota to kya hota, yeh baat har jubaan par aagayi hae
Ungli utha rahey apni Dharti par, isliye khud unoney aakr kuch baatein kahi hai,
Arrey mat karo tum kaam, mat karo tum atyachaar,
Corona na hota to nahi bethey hotey tum is waqt apney parivaar k saath,
Arey kar rahey hotey tum kaam, jese jaanwar karta hae aaram
Maangtey teh roz dua, 2 itbaar ho lgatar
Arrey karti man ki tumhari Puri,
Ab ghar Beth kar karo aaram,
Arey maana toda hoga nuksaan,
Desh hojaayengey lahu luaan,
Arey to kya hua, fhir saalo mehnat k baad badh jaayega desh ka samaan,
Arey yeh to mene tumhsey he shikha hae,
Apney liye apno ka he sanghaar karna padta hae,
Arey to kya hua kuch martey hae to Marney do,
Mujhe bhi to khud ko bachana hae,
Bnaya tumhney apney liye aalishaan bangla,
Mujhe bhi to apney nirbal, or besahaara bacho k liye vapish ghar bnana hae,
Bhaut kiya lahu luaan tumhney mujhko,
Ab apniyaap ko mujhe bachaana hae,
Arey boltey ho tum ki corona na hota to kya hota,
Pollution level aaj socho fhir kitna hota,
Maana mera tarika galat hae,
Par yeh tareeka mujhe tumhney hi sikhaya hae,
Har saal kaata jungalo ko,
Ye bhi na socha kya hoga mere nirbhal bacho ka,
Arey mene tumhey chadar di,
Tumhney meri chadaro me he ched karwaya,
Arey corona na hota to kya hota,
Corona na hota to kuch na hota,
Dheerey dheerey bacha hua bhi khatam hota..

No comments:

Post a Comment

काशी

वाराणसी या बनारस या कहो काशी, जो ख्याल सबसे पहले आता सुन कर यह नाम, वो हैं खुद भोले नाथ। वो सँकरी गलियां, जो निकलती सीधे घाट पर ...