Monday, June 15, 2020

Raaz Gehrey

Yeh hastey cehrey raaz chupaye jaaney kitney gehrey,
Lagey hai sab kaam m apney
Puchey koi jo haal humara, btaye hum usko kese

Yeh haalat btaney dete nhi, ghum apna chupaney dete nhi
Kesi kashmkash hai yeh, kabhi galey lga kar pucho tum ho kese

Yeh kahani tumhey lagti galat hai, Par kabhi pyar kiya humey to jaanogey is kahaani s hum hai kese

Ab na koi fariyad hai pyar ko uskey paaney ki, 
Na he ab koi dar kisi k jaaney ka
Yeh khaamosiya is trha aai hai,
Ki ab na ghum mar jaaney ka

Puchtey ho haal humara,
Kabhi galey lga kar pucho to
Cehrey s khairiyat samjh lete ho,
Kabhi aankho m rukey samundar ko dekho to

Kehtey ho baat karo humsey,
Kabhi saamney s baat tum bhi to karkey dekho
Intezar har pal rehtha hai, kabhi apna maan kar dekho to

Kese yeh pal nikal jaayengey tum bhi nhi jaan paaogey

Puchtey ho haal humara,
Cehrey s to lgtey khus ho,
Phir tumhey yeh ghum hai kese

Na koi dard hai kisi ka, na apna koi ghum hai,
Btana chaatey hai haal-ae-dil par tumhey hum btaye kese

Maana abhi milna aasan nhi, par in dooriyon m apna bnaye rhkna
Khaamosiya hojayengi shaanth,
Phir na puchna tum ho kese

Is qalam or kakaz ka he to saath hai,
Barna hum tumhey btaye kese,
Kabhi pucho apney Dil s aakhir hum hai kese

Ab na dard hai, na jeeney ki koi wjha
Wo kehtey hai khud ko humara, uney to pta he nhi hum is haal m hai kese

Ek baar galey lga kar to dekho, ek baar apna maan kar to dekho
Dum ghuth tha hai is tahnaai m,
Ek baar saamney s puch kar to dekho

Durr s puchtey ho, to khairiyat he jaanogey
Ek baar aankho ko padh kar to dekho

Yeh khaamosiya bhi shaanth hojaayengi, ek baar galey lgakar to dekho
Duniya m hai laakhon mukotey ek cehrey k pichey
Kabhi apna maan kar to dekho

Na tumhey is baat ki parwa, ab na humey ghum ki hum rehtey kese,
Sabko khus dekhna chaa, isliye paaya humney khud ko aaj bhi akele...

3 comments:

काशी

वाराणसी या बनारस या कहो काशी, जो ख्याल सबसे पहले आता सुन कर यह नाम, वो हैं खुद भोले नाथ। वो सँकरी गलियां, जो निकलती सीधे घाट पर ...