Sunday, July 12, 2020

Writer/ Lekhak

Aaj subha subha ek khyal aaya,
Suraj ki roshni ka pehgaam aaya,
Koun hota hai ek lekhak baar baar is sawaal n dil ko behkaya..

Lekhak hota hai ek aam aadmi,
Jo apney aas paas ki cheezo ko apni kalam m uthar deta hai,
Ek gumhnaam insaan, jo kahaaniya likhtha hai
Jiska naam to sab ko pta hota hai, agar baat sirf kitawo ki ho,
Lekin cehrey k saath naam bhi kahi koh jaayda hai,
Jab baat kisi picture ki ho,
Log yaad rahktey hai sirf usey, jo saamney hota hai
Kyu bhul jaatey hai log, jo us rachna ko rachta hai
Mene bhi ek kahaani likhi,
Credit mujhe mila tha,
Lekin kya credit milna he ek lekakh k liye sab hai,
Kya lekhak ko haq nhi usey uski pehchaan Miley,
Samaj ki buraiyo ko wo duniya ko dikhata hai,
Apni kalam s logo ki soach badalney ki taqat wo rhkta hai,
To kyu wo aaj bhi ek ghumnaam ki zindagi jeeta hai
Aakhir koun hota hai lekhak,
Ek aam insaan jo apni kalam s samaj badlney ki taqat rahkta hai,
Phir kyu usey uskey hissey ka pyar nhi milta hai,
Ha yeh sachaai hai, ek lekhak humesa logo ki nazaro m ghumnaam rehtha hai,
Lekin wo samaj ko badalney ki taqat rahkta hai..



#Ha_me_bhi_lehkak
#Yes_i_am_writer

Thursday, July 9, 2020

Ha, Me bhi ek ladka hun

Ha, me ladka hun
Dusro k saamney apni dil ki baat rhk deta hun
Ha, me ladka hun
Apni zimmedariyo ko waqt s peheley he smjh leta hun,
Kisi apne ko takleef na ho, isliye hasta rehtha hun
Ha, me ek ladka hun
Kabhi kisi ki feelings k saath m kehla nahi,
Me aaj bhi virgin hun ye kehney m mujhe koi sharam nahi
Aesa nahi ki ladkiya meri dost nahi,
Lekin pyar k bina yeh sab karna mujhe samjh aata nahi,
Ha, me ek ladka hun
Is duniya ki trha nakaab me bhi pehnta hun,
Mere is mukotey s kisi ko problem ho nahi, is baat ka bhi khyal rhkta hun
Apni zimmedariya smhalta hun,
Ha, me ek ladka hun
Toda emotional hun,
Sabko apna maan leta hun
Sabki matat k liye humesa taiyar rehtha hun, badley m kuch bhi nhi maangta hun
Ha, kyuki me ek ladka hun
Ghar s bahar rehtha hun,
Lekin ladki ko kabhi maal ki nazar s nahi dekhtha hun
Ha, me aaj bhi pyar par vishwas karta hun
Ha, me ek ladka hun
Dil m kai dard lekar chlta hun
Koi apna mil jaata hai,
To uskey saamney roh deta hun
Log kehtey hai ladkey roya nahi kartey,
Sayad pathar ka bna hoga dil unka,
Isliye ladkiyo ki izzat k saath wo kehl jaaya kartey
Or unki nazar m sab ladko ko wo badnaam kiya kartey..
Ha, me bhi ek ladka hun...

काशी

वाराणसी या बनारस या कहो काशी, जो ख्याल सबसे पहले आता सुन कर यह नाम, वो हैं खुद भोले नाथ। वो सँकरी गलियां, जो निकलती सीधे घाट पर ...