Thursday, July 9, 2020

Ha, Me bhi ek ladka hun

Ha, me ladka hun
Dusro k saamney apni dil ki baat rhk deta hun
Ha, me ladka hun
Apni zimmedariyo ko waqt s peheley he smjh leta hun,
Kisi apne ko takleef na ho, isliye hasta rehtha hun
Ha, me ek ladka hun
Kabhi kisi ki feelings k saath m kehla nahi,
Me aaj bhi virgin hun ye kehney m mujhe koi sharam nahi
Aesa nahi ki ladkiya meri dost nahi,
Lekin pyar k bina yeh sab karna mujhe samjh aata nahi,
Ha, me ek ladka hun
Is duniya ki trha nakaab me bhi pehnta hun,
Mere is mukotey s kisi ko problem ho nahi, is baat ka bhi khyal rhkta hun
Apni zimmedariya smhalta hun,
Ha, me ek ladka hun
Toda emotional hun,
Sabko apna maan leta hun
Sabki matat k liye humesa taiyar rehtha hun, badley m kuch bhi nhi maangta hun
Ha, kyuki me ek ladka hun
Ghar s bahar rehtha hun,
Lekin ladki ko kabhi maal ki nazar s nahi dekhtha hun
Ha, me aaj bhi pyar par vishwas karta hun
Ha, me ek ladka hun
Dil m kai dard lekar chlta hun
Koi apna mil jaata hai,
To uskey saamney roh deta hun
Log kehtey hai ladkey roya nahi kartey,
Sayad pathar ka bna hoga dil unka,
Isliye ladkiyo ki izzat k saath wo kehl jaaya kartey
Or unki nazar m sab ladko ko wo badnaam kiya kartey..
Ha, me bhi ek ladka hun...

10 comments:

काशी

वाराणसी या बनारस या कहो काशी, जो ख्याल सबसे पहले आता सुन कर यह नाम, वो हैं खुद भोले नाथ। वो सँकरी गलियां, जो निकलती सीधे घाट पर ...