Wednesday, August 26, 2020

Wo shaam

Kya bhool gaye wo raat,
Jismein hoti thi sirf humari baat

Suna hai ab tumhey gawara nahi,
Kaho na, ab tumhara koi kaam nahi

Ye andheri raat he to hai,
Ek kiran kaafi hai, mitaney ko isko
Suna hai tum ab saath nahi,
Ek baat btao, tum thi kiski

Me ab kehtha nahi,
Iska matlab ye to nahi ki mujhe kuch pta nahi,
Yaad hai na tumhey wo shaam, jismein hum khoob hasein teh
Sayad wo hasi bhi tumhari jhooti thi

Me to Musafir hun ek waqt ka,
Or tum khiladi ho ishq ki,
Hum saath to hai ab,
Par me samundar ki lehar, or tum ek patthar ki trha

Is andherey s hum nikal jaayenge,
Dekhna tum, tumhey bhanak bhi na lagney dengey

Tumhney he kha tha na us shaam,
Saath kabhi na chodengey,
Tumhari aankho s ek aansu nahi aaney denge,
Lekin dekho aaj sab aansu tumharey hai, acha hai tumhney btaya bhi to tha tum giraogi, me he mjak smjh betha,
Chaloo koi vaada to tumhney nibhaya

Suna hai ab khus bhaut rehti ho,
Ek baat btao, kya aaj bhi us shaam ki trha dikhawa karti ho

Me he bhool gya tha, ki wo shaam thi
Andhera to houna he tha uskey baad,
Mujhe lga tum saath togi,
Par ujaley m khud ko he paaya khud k saath....

No comments:

Post a Comment

काशी

वाराणसी या बनारस या कहो काशी, जो ख्याल सबसे पहले आता सुन कर यह नाम, वो हैं खुद भोले नाथ। वो सँकरी गलियां, जो निकलती सीधे घाट पर ...