Aaj ek sawaal phir zubaan par aaya hai,
Koi apna phir s Durr jaa rha hai,
Usko me jaaney nahi deh skta
Usko me bhatkney nahi deh skta
Manzil wo bhi paana chaatha hai
Par sachaai s wo nahi lad paa rha hai
Usko pta nahi kyu, me galat lgta hun
Uski kamiyaan jab me usey btata hun
Mene to bass yehi chaa hai,
Usko sahi raahein me dikhaana chaatha hun
Ha toda presaan hai wo, lekin kya sach m mere saath hai wo
Me nahi kehtha ki mere kehney par wo chaley
Bass apney muqaam ko wo samjhey
Pta hai usko ki koi kisi ka nahi
Par phir bhi wo kuch baaton s anjaan hai
Ha yeh sach hai ki mujhe ussey pyar hai
Par usko chod kar akele is bhid m, me aage nahi jaana chaatha
Mene vaada kiya hai usko,
Akela kabhi nahi chodunga
Khaas me usko bta paata
Ki wo abhi kin andhero m hai kda
Aaj nahi to kal, usko yeh smjhna hoga
Zindagi ki haqiqat s usey ladna hoga
Safar alag hai to kya hua,
Manzil to dono ki ek he hai
Me usko akela chod duh
Phir meri aashiqui kis baat ki hai
Ha, yeh sach hai wo sabkey saamney mujhe apna maanti nahi
Sayad uskey dil m, abhi mere liye wo jgha nahi
Me phir bhi uska saath dena chaatha hun
Usko un andhero s nikalna chaatha hun
Phir bhi aaj phir s ek sawaal zubaan par aata hai
Me usko khona nahi chaatha hun
Bas isi baat s uski me itna kyu darrta hun..

Beautiful lines
ReplyDeleteShukriya
Delete