Monday, June 15, 2020

Raaz Gehrey

Yeh hastey cehrey raaz chupaye jaaney kitney gehrey,
Lagey hai sab kaam m apney
Puchey koi jo haal humara, btaye hum usko kese

Yeh haalat btaney dete nhi, ghum apna chupaney dete nhi
Kesi kashmkash hai yeh, kabhi galey lga kar pucho tum ho kese

Yeh kahani tumhey lagti galat hai, Par kabhi pyar kiya humey to jaanogey is kahaani s hum hai kese

Ab na koi fariyad hai pyar ko uskey paaney ki, 
Na he ab koi dar kisi k jaaney ka
Yeh khaamosiya is trha aai hai,
Ki ab na ghum mar jaaney ka

Puchtey ho haal humara,
Kabhi galey lga kar pucho to
Cehrey s khairiyat samjh lete ho,
Kabhi aankho m rukey samundar ko dekho to

Kehtey ho baat karo humsey,
Kabhi saamney s baat tum bhi to karkey dekho
Intezar har pal rehtha hai, kabhi apna maan kar dekho to

Kese yeh pal nikal jaayengey tum bhi nhi jaan paaogey

Puchtey ho haal humara,
Cehrey s to lgtey khus ho,
Phir tumhey yeh ghum hai kese

Na koi dard hai kisi ka, na apna koi ghum hai,
Btana chaatey hai haal-ae-dil par tumhey hum btaye kese

Maana abhi milna aasan nhi, par in dooriyon m apna bnaye rhkna
Khaamosiya hojayengi shaanth,
Phir na puchna tum ho kese

Is qalam or kakaz ka he to saath hai,
Barna hum tumhey btaye kese,
Kabhi pucho apney Dil s aakhir hum hai kese

Ab na dard hai, na jeeney ki koi wjha
Wo kehtey hai khud ko humara, uney to pta he nhi hum is haal m hai kese

Ek baar galey lga kar to dekho, ek baar apna maan kar to dekho
Dum ghuth tha hai is tahnaai m,
Ek baar saamney s puch kar to dekho

Durr s puchtey ho, to khairiyat he jaanogey
Ek baar aankho ko padh kar to dekho

Yeh khaamosiya bhi shaanth hojaayengi, ek baar galey lgakar to dekho
Duniya m hai laakhon mukotey ek cehrey k pichey
Kabhi apna maan kar to dekho

Na tumhey is baat ki parwa, ab na humey ghum ki hum rehtey kese,
Sabko khus dekhna chaa, isliye paaya humney khud ko aaj bhi akele...

Tuesday, June 9, 2020

Ek mohabbat aesi bhi

Sabko smjha deta hun, par khud ko nahi
Har insaan ek jesa nahi,
Wo thukra ti hai pyar mera mehfil m,
Akele m apna ti hai
Sayd pyar sabka ek jesa nhi
Chaloo ek pyar aesa bhi sahi

Wo chilla ti hai mujh par, mujhe sunna acha lgta hai
Ab shaanth rehney lagi hai wo, jiski wjha s baatein ab kam houney lagi hai
Usey aishash bhi nahi,
Uski mujhe kitni jarurat hai
Par wo mujhsey door jaati bhi nhi,
Chalo ek pyar aesa bhi sahi

Ha, toda nervous rehtha hun usko lekar
Raat bhar jo wo online rehti hai
Uska bitha hua kal, soney nhi deta hoga usko
Or uskey bina neend mujhko aati nhi
Chalo ek pyar aesa bhi sahi

Har waqt to wo mere saath reh sakti nhi,
Har baar m usey smjh skta nhi
Ristha wo bhi todhna chaati nhi
Me bhi door ussey hona chaatha nhi,
Baat hoti hai roz humari,
Par adhuri si reh gayi hai yeh khaani 
Chalo ek pyar aesa bhi sahi

Khaamosh rehti hai, sayd mene hurt usey kiya hai
Toda gussa karti hai, har waqt busy wo rehti hai
Aesa nhi uski life m koi or hai,
Bass mohabbat wo mujhsey karti hai,
Jo ladki sabpar gussa karti hai, wo is risthey ko bachaaney k liye khaamosh hojati hai

Wo kisi ki ek na sunney waali meri sun leti hai,
Kuch aesi he mohabbat wo mujhsey karti hai,
Maana mujhe uska yeh rup pasand nhi,
Mere liye wo khud ko badley, mujhe yeh gawara nhi
Lekin ab me usey smjhau bhi kese,
Kyuki galti to kahi mene he ki hai
Sayd ab haq koh betha hun m,
Barna mohabbhat usney aaj bhi mujhsey he ki hai..

Sunday, May 31, 2020

Chal aaj phir aitbaar kar lete hai..

Chall aaj aitbaar karlete hai,
Chall aaj phir mohabbat karletey hai
Koun puchega haal humhara,
Chall aaj phir yeh dard seh lete hai

Manzil s toda khfa hojayengey,
Phir ussey mil jaayengey
Koun jaanna chaatha hai daastan humhari,
Chall aaj phir inki trha kehl lete hai

Bithey hue lamho ko phir s samet lete hai,
Yakeen maan koi kuch nhi kahega
Chall ek baar phir bachpan jee lete hai

Samey n waqt s pehley bda kartiya to kya hogya,
Chall aaj samey ko hum rauk lete hai

Todi taqleef he to hogi,
Seh lengey
Bass ghum is baat ka na rahein, 
Ki kaash ek baar jee lete

In naadaniyo ko phir s kartey hai,
Jo kuch reh gya, unko phir s jeetey hai
Na sochna is baar, waqt kya kehl dikhayega
Chall aaj waqt k saath do-do haath kar letey hai

Us Ghar m phir s chaltey hai,
Jhaa sab mila kartey teh
Chall is duniya ko phir s jeena shuru kar letey hai

Waqt nhi dega gawai to kya hojaayega,
Chall ek baar phir bachpan ki sahlaako me kehd hotey hai

Chall aaj phir aitbaar kartey hai,
Apney Dil ki baat tujhsey kehtey hai
Na puchna kya goonha tha humara,
Chall ek baar phir yeh goonha karkey dekh letey hai
Chall aaj phir aitbaar krkey dekh lete hai
Chall aaj phir Mohabbat karkey dekh lete hai....

Thursday, May 28, 2020

My world

You know actually what, I want to die,
But that's not the way I want to look like
I have some positive vibes
Which saved me from this side,
Everytime I think about how to die
But I remembered the face, that want me alive
I lose myself a years ago
But still I want to survive
I am not my favorite person
Because I have also some bad side
Neither the friends, nor my life
Want to live with my this side
I am not afraid of difficulties, because they make me more perfect
I am afraid from a person,
To whom I want to know me well
Everytime I am in my world
That give me happiness to my soul
But that's not enough
Because soul's clothes(body) demand something else
She want me to live in a real world
But she want me to do this alone
I want that she believes me
But maybe I have a feared of hate by her
I don't know how to do it
But I will try everyday to do so
Maybe she don't know from which situation I cross
Maybe I also don't know what the exact situation is in she
I just want attention of all
Which I get in my own creating world
I want to move out from that world
But the fear of loosing everything stop me from to do so
I hope one day I can beat my this feared,
But you know exactly what, that day maybe my last and worse day...

Saturday, May 16, 2020

Sawaal

Aaj ek sawaal phir zubaan par aaya hai,
Koi apna phir s Durr jaa rha hai,
Usko me jaaney nahi deh skta
Usko me bhatkney nahi deh skta
Manzil wo bhi paana chaatha hai
Par sachaai s wo nahi lad paa rha hai
Usko pta nahi kyu, me galat lgta hun
Uski kamiyaan jab me usey btata hun
Mene to bass yehi chaa hai,
Usko sahi raahein me dikhaana chaatha hun
Ha toda presaan hai wo, lekin kya sach m mere saath hai wo
Me nahi kehtha ki mere kehney par wo chaley
Bass apney muqaam ko wo samjhey
Pta hai usko ki koi kisi ka nahi
Par phir bhi wo kuch baaton s anjaan hai
Ha yeh sach hai ki mujhe ussey pyar hai
Par usko chod kar akele is bhid m, me aage nahi jaana chaatha
Mene vaada kiya hai usko,
Akela kabhi nahi chodunga
Khaas me usko bta paata
Ki wo abhi kin andhero m hai kda
Aaj nahi to kal, usko yeh smjhna hoga
Zindagi ki haqiqat s usey ladna hoga
Safar alag hai to kya hua,
Manzil to dono ki ek he hai
Me usko akela chod duh
Phir meri aashiqui kis baat ki hai
Ha, yeh sach hai wo sabkey saamney mujhe apna maanti nahi
Sayad uskey dil m, abhi mere liye wo jgha nahi
Me phir bhi uska saath dena chaatha hun
Usko un andhero s nikalna chaatha hun
Phir bhi aaj phir s ek sawaal zubaan par aata hai
Me usko khona nahi chaatha hun
Bas isi baat s uski me itna kyu darrta hun..


Monday, April 27, 2020

Is this is the hope

It is seems the day become worse every night,
Sun rise in the sky, I fell like a bird with a new hope that want to fly high
I scream silently in my nights,
Is there someone who can be mine
Not the star twinkling in the sky,
Nor the moon shining like yesterday
Is everything is fine?
Something is there which stop me, which choked in my life like a sun in the sky
There is someone who is always with me
But the question still raises by my soul, is it yours
What happen if she is not my,
The answer came, you are always her guy
Something I want to share with her,
But did she listen to me, did she has a time for me
It seems that I still fighting between the reality and virtuality
Something destroy me day and night from inside
Is this the love, or my past
Is this the dignity of my life
May be this is the hope, due to which I survive..

Thursday, April 16, 2020

Corona ka aagman na hota to kya hota...

Corona ka aagman na hota to kya hota, yeh baat har jubaan par aagayi hae
Ungli utha rahey apni Dharti par, isliye khud unoney aakr kuch baatein kahi hai,
Arrey mat karo tum kaam, mat karo tum atyachaar,
Corona na hota to nahi bethey hotey tum is waqt apney parivaar k saath,
Arey kar rahey hotey tum kaam, jese jaanwar karta hae aaram
Maangtey teh roz dua, 2 itbaar ho lgatar
Arrey karti man ki tumhari Puri,
Ab ghar Beth kar karo aaram,
Arey maana toda hoga nuksaan,
Desh hojaayengey lahu luaan,
Arey to kya hua, fhir saalo mehnat k baad badh jaayega desh ka samaan,
Arey yeh to mene tumhsey he shikha hae,
Apney liye apno ka he sanghaar karna padta hae,
Arey to kya hua kuch martey hae to Marney do,
Mujhe bhi to khud ko bachana hae,
Bnaya tumhney apney liye aalishaan bangla,
Mujhe bhi to apney nirbal, or besahaara bacho k liye vapish ghar bnana hae,
Bhaut kiya lahu luaan tumhney mujhko,
Ab apniyaap ko mujhe bachaana hae,
Arey boltey ho tum ki corona na hota to kya hota,
Pollution level aaj socho fhir kitna hota,
Maana mera tarika galat hae,
Par yeh tareeka mujhe tumhney hi sikhaya hae,
Har saal kaata jungalo ko,
Ye bhi na socha kya hoga mere nirbhal bacho ka,
Arey mene tumhey chadar di,
Tumhney meri chadaro me he ched karwaya,
Arey corona na hota to kya hota,
Corona na hota to kuch na hota,
Dheerey dheerey bacha hua bhi khatam hota..

काशी

वाराणसी या बनारस या कहो काशी, जो ख्याल सबसे पहले आता सुन कर यह नाम, वो हैं खुद भोले नाथ। वो सँकरी गलियां, जो निकलती सीधे घाट पर ...